uske dar tak kise rasai hai
us ke dar tak kise rasā.ī hai
vo hī jā.egā jis kī aa.ī hai
baat ik dil meñ mere aa.ī hai
gar kahūñ to abhī laḌā.ī hai
dūsrī jaan hai tirī ulfat
ek khoī hai ek paa.ī hai
bhar diyā zaḳhm meñ namak us ne
ye duā-go kī muñh-bharā.ī hai
sach hai be-aib hai ḳhudā kī zaat
tujh meñ kyā jaane kyā burā.ī hai
ai lab-e-yār tujh ko merī qasam
kabhī sachchī qasam bhī khaa.ī hai
us ke dar tak pahuñch gayā qāsid
aage taqdīr kī rasā.ī hai
qatl kartī hai guftugū un kī
baat meñ baat kī safā.ī hai
'dāġh' ab vasl kā visāl huā
yaar zinda ġham-e-judā.ī hai
us ke dar tak kise rasai hai
wo hi jaega jis ki aai hai
baat ek dil mein mere aai hai
gar kahun to abhi laDai hai
dusri jaan hai teri ulfat
ek khoi hai ek pai hai
bhar diya zaKHm mein namak us ne
ye dua-go ki munh-bharai hai
sach hai be-aib hai KHuda ki zat
tujh mein kya jaane kya burai hai
ai lab-e-yar tujh ko meri qasam
kabhi sachchi qasam bhi khai hai
us ke dar tak pahunch gaya qasid
aage taqdir ki rasai hai
qatl karti hai guftugu un ki
baat mein baat ki safai hai
'dagh' ab wasl ka visal hua
yar zinda gham-e-judai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.