Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uske jate hi ye kya ho gai ghar ki surat

Altaf Hussain Hali

uske jate hi ye kya ho gai ghar ki surat

Altaf Hussain Hali

MORE BYAltaf Hussain Hali

    us ke jaate ye kyā ho ga.ī ghar sūrat

    na vo dīvār sūrat hai na dar sūrat

    kis se paimān-e-vafā bāñdh rahī hai bulbul

    kal na pahchān sakegī gul-e-tar sūrat

    hai ġham-e-roz-e-judā.ī na nashāt-e-shab-e-vasl

    ho ga.ī aur kuchh shām-o-sahar sūrat

    apnī jeboñ se raheñ saare namāzī hushyār

    ik buzurg aate haiñ masjid meñ ḳhizar sūrat

    dekhiye shaiḳh musavvir se khiche na khiche

    sūrat aur aap se be-aib bashar sūrat

    vā.izo ātish-e-dozaḳh se jahāñ ko tum ne

    ye Darāyā hai ki ḳhud ban ga.e Dar sūrat

    kyā ḳhabar zāhid-e-qāne ko ki kyā chiiz hai hirs

    us ne dekhī nahīñ kīsa-e-zar sūrat

    maiñ bachā tīr-e-havādis se nishāna ban kar

    aaḌe aa.ī mirī taslīm-e-sipar sūrat

    shauq meñ us ke mazā dard meñ us ke lazzat

    nāseho us se nahīñ koī mafar sūrat

    hamla apne pe bhī ik bād-e-hazīmat hai zarūr

    rah ga.ī hai yahī ik fat.h o zafar sūrat

    rahnumāoñ ke hue jaate haiñ ausān ḳhatā

    raah meñ kuchh nazar aatī hai ḳhatar sūrat

    yuuñ to aayā hai tabāhī meñ ye beḌā sau baar

    par Darātī hai bahut aaj bhañvar sūrat

    un ko 'hālī' bhī bulāte haiñ ghar apne mehmāñ

    dekhnā aap aur aap ke ghar sūrat

    us ke jate hi ye kya ho gai ghar ki surat

    na wo diwar ki surat hai na dar ki surat

    kis se paiman-e-wafa bandh rahi hai bulbul

    kal na pahchan sakegi gul-e-tar ki surat

    hai gham-e-roz-e-judai na nashat-e-shab-e-wasl

    ho gai aur hi kuchh sham-o-sahar ki surat

    apni jebon se rahen sare namazi hushyar

    ek buzurg aate hain masjid mein KHizar ki surat

    dekhiye shaiKH musawwir se khiche ya na khiche

    surat aur aap se be-aib bashar ki surat

    waizo aatish-e-dozaKH se jahan ko tum ne

    ye Daraya hai ki KHud ban gae Dar ki surat

    kya KHabar zahid-e-qane ko ki kya chiz hai hirs

    us ne dekhi hi nahin kisa-e-zar ki surat

    main bacha tir-e-hawadis se nishana ban kar

    aaDe aai meri taslim-e-sipar ki surat

    shauq mein us ke maza dard mein us ke lazzat

    naseho us se nahin koi mafar ki surat

    hamla apne pe bhi ek baad-e-hazimat hai zarur

    rah gai hai yahi ek fath o zafar ki surat

    rahnumaon ke hue jate hain ausan KHata

    rah mein kuchh nazar aati hai KHatar ki surat

    yun to aaya hai tabahi mein ye beDa sau bar

    par Daraati hai bahut aaj bhanwar ki surat

    un ko 'haali' bhi bulate hain ghar apne mehman

    dekhna aap ki aur aap ke ghar ki surat

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now