uske jalwon ki raushni mein hun
us ke jalvoñ kī raushnī meñ huuñ
maiñ abhī us kī bandagī meñ huuñ
mujh ko merī ḳhabar nahīñ aatī
muddatoñ se maiñ 'āshiqī meñ huuñ
mo'jiza hai ye 'ishq kā yaaro
koī mujh meñ hai maiñ kisī meñ huuñ
is qadar ḳhauf hai ujāloñ se
muddatoñ se maiñ tīrgī meñ huuñ
aa.ine se ulajh gayā huuñ aaj
dekh to kaisī be-ḳhudī meñ huuñ
us ke jalwon ki raushni mein hun
main abhi us ki bandagi mein hun
mujh ko meri KHabar nahin aati
muddaton se main 'ashiqi mein hun
mo'jiza hai ye 'ishq ka yaro
koi mujh mein hai main kisi mein hun
is qadar KHauf hai ujalon se
muddaton se main tirgi mein hun
aaine se ulajh gaya hun aaj
dekh to kaisi be-KHudi mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.