uske junun ka KHwab hai kin tabiron mein
us ke junūñ kā ḳhvāb hai kin ta.abīroñ meñ
achchhā vo lagtā hai jakḌā zanjīroñ meñ
ab to mere lahū tak baat pahuñchtī hai
kaun sā rañg bharūñ us kī tasvīroñ meñ
ban jaate haiñ ek ḳhabar Dhah jaane kī
apnā shumār bhī hai kachchī ta.amīroñ meñ
us kā tarkash ḳhālī hone vaalā hai
mere naam kā tiir hai kitne tīroñ meñ
mujh se sīkho harf-o-navā kī jādūgarī
DhūñD rahe ho kyā andhī tahrīroñ meñ
mere zer-e-qadam hai 'ramz' iqlīm-e-suḳhan
ik duniyā ye bhī hai mirī jāgīroñ meñ
us ke junun ka KHwab hai kin tabiron mein
achchha wo lagta hai jakDa zanjiron mein
ab to mere lahu tak baat pahunchti hai
kaun sa rang bharun us ki taswiron mein
ban jate hain ek KHabar Dhah jaane ki
apna shumar bhi hai kachchi tamiron mein
us ka tarkash KHali hone wala hai
mere nam ka tir hai kitne tiron mein
mujh se sikho harf-o-nawa ki jadugari
DhunD rahe ho kya andhi tahriron mein
mere zer-e-qadam hai 'ramz' iqlim-e-suKHan
ek duniya ye bhi hai meri jagiron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.