uske kuche ki taraf tha shab jo danga aag ka
uske kuche ki taraf tha shab jo danga aag ka
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
us ke kūche kī taraf thā shab jo dañgā aag kā
aah se kis kī paḌā thā vaañ patiñgā aag kā
jañg hai kis ātishīñ-ḳhū se jo rahtā hai mudām
teġh-e-uryāñ kī tarah har sho.ala nañgā aag kā
toshe-dānoñ meñ bhare rahte haiñ un ke kartōs
is liye ḳhatra rakhe hai har tilañgā aag kā
tah se us kī surḳh ho kar kab na niklī mauj-e-barq
kab shafaq ne ḳhuuñ meñ pairāhan na rañgā aag kā
sham.a ke sho.ale pe mauqūf us kā jal jaanā nahīñ
'mus.hafī' jis jā ho āshiq hai patiñgā aag kā
us ke kuche ki taraf tha shab jo danga aag ka
aah se kis ki paDa tha wan patinga aag ka
jang hai kis aatishin-KHu se jo rahta hai mudam
tegh-e-uryan ki tarah har shoala nanga aag ka
toshe-danon mein bhare rahte hain un ke kartoos
is liye KHatra rakhe hai har tilanga aag ka
tah se us ki surKH ho kar kab na nikli mauj-e-barq
kab shafaq ne KHun mein pairahan na ranga aag ka
shama ke shoale pe mauquf us ka jal jaana nahin
'mushafi' jis ja ho aashiq hai patinga aag ka
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 81)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.