uske mear par utarte hue
us ke me.aar par utarte hue
log dekhe ka.ī bigaḌte hue
aadmī raakh ho gayā ik din
dhuup ko chhāñv meñ badalte hue
pahle to jism se huā vāqif
vo mirī ruuh meñ utarte hue
ā.inoñ se mirī nahīñ bantī
dekhte haiñ use sañvarte hue
ye tamanna hī rah ga.ī ḳhud ko
dekhnā chāhtā huuñ marte hue
us ke mear par utarte hue
log dekhe kai bigaDte hue
aadmi rakh ho gaya ek din
dhup ko chhanw mein badalte hue
pahle to jism se hua waqif
wo meri ruh mein utarte hue
aainon se meri nahin banti
dekhte hain use sanwarte hue
ye tamanna hi rah gai KHud ko
dekhna chahta hun marte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.