uske munh ka kaDwa bol bhi kaisa tha
us ke muñh kā kaḌvā bol bhī kaisā thā
duudh meñ jaise shahd milā ho lagtā thā
khulī havā meñ uḌte uḌte mar jaanā
qafas meñ rah kar jiine se to achchhā thā
shādī ho jaane par beTā bhuul gayā
beva maañ ne kaise us ko paalā thā
aaj maiñ us kā haath pakaḌ kar chaltā huuñ
kal jo merī uñglī thāme chaltā thā
ab to us meñ yādoñ kā hai shor bahut
man kā āñgan pahle kitnā suunā thā
soch rahā thā aap mire ghar meñ kaise
aañkh khulī to samajh meñ aayā sapnā thā
din bhar hañstā phirtā thā jo saḌkoñ par
vo pāgal tanhā.ī meñ aksar rotā thā
sar ko ūñchā kar ke jo chaltā thā 'rafīq'
asl meñ mujh se qad meñ zarā vo chhoTā thā
us ke munh ka kaDwa bol bhi kaisa tha
dudh mein jaise shahd mila ho lagta tha
khuli hawa mein uDte uDte mar jaana
qafas mein rah kar jine se to achchha tha
shadi ho jaane par beTa bhul gaya
bewa man ne kaise us ko pala tha
aaj main us ka hath pakaD kar chalta hun
kal jo meri ungli thame chalta tha
ab to us mein yaadon ka hai shor bahut
man ka aangan pahle kitna suna tha
soch raha tha aap mere ghar mein kaise
aankh khuli to samajh mein aaya sapna tha
din bhar hansta phirta tha jo saDkon par
wo pagal tanhai mein aksar rota tha
sar ko uncha kar ke jo chalta tha 'rafiq'
asl mein mujh se qad mein zara wo chhoTa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.