uske shoKH labon ki lali Das legi
us ke shoḳh laboñ kī laalī Das legī
nāgan jaisī āñkhoñ vaalī Das legī
us ke zahr-e-nigāh meñ koī mastī hai
lagtā hai vo chashm-e-ġhazālī Das legī
shahzādī kā jism ḳhazāne jaisā hai
pahre-dāroñ ko rakhvālī Das legī
din bhar to office meñ bak bak kartā huuñ
shaam ko phir tanhā.ī saalī Das legī
kaun kisī kā bojh yahāñ par sahtā hai
āḳhir phūloñ ko bhī Daalī Das legī
us ke shoKH labon ki lali Das legi
nagan jaisi aankhon wali Das legi
us ke zahr-e-nigah mein koi masti hai
lagta hai wo chashm-e-ghazali Das legi
shahzadi ka jism KHazane jaisa hai
pahre-daron ko rakhwali Das legi
din bhar to office mein bak bak karta hun
sham ko phir tanhai sali Das legi
kaun kisi ka bojh yahan par sahta hai
aaKHir phulon ko bhi Dali Das legi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.