us KHush-ada ke aaina-KHane mein jaunga
us ḳhush-adā ke ā.ina-ḳhāne meñ jā.ūñgā
phir lauT kar maiñ apne zamāne meñ jā.ūñgā
rah jā.egī ye saarī kahānī yahīñ dharī
ik roz jab maiñ apne fasāne meñ jā.ūñgā
ye sub.h o shaam yūñhī raheñge mire charāg
bas maiñ tujhe jalāne bujhāne meñ jā.ūñgā
ye khel hai to ḳhuub magar tere haath se
is TūTne bigaḌne banāne meñ jā.ūñgā
yūñhī maiñ ḳhud ko ḳhvāb dikhāne meñ aa gayā
yūñhī maiñ ḳhud ko ḳhvāb dikhāne meñ jā.ūñgā
us KHush-ada ke aaina-KHane mein jaunga
phir lauT kar main apne zamane mein jaunga
rah jaegi ye sari kahani yahin dhari
ek roz jab main apne fasane mein jaunga
ye subh o sham yunhi rahenge mere charag
bas main tujhe jalane bujhane mein jaunga
ye khel hai to KHub magar tere hath se
is TuTne bigaDne banane mein jaunga
yunhi main KHud ko KHwab dikhane mein aa gaya
yunhi main KHud ko KHwab dikhane mein jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.