uski aankhon ka koi KHwab nahin ho pae
us kī āñkhoñ kā koī ḳhvāb nahīñ ho paa.e
hans the vāqif-e-tālāb nahīñ ho paa.e
girya-e-ġham kī harārat se pighalte hue ashk
sard lahjoñ se bhī barfāb nahīñ ho paa.e
tum ne jī bhar ke mohabbat kī 'ināyat kī thī
dasht phir dasht the sairāb nahīñ ho paa.e
hijr ne taur tarīqe to sikhā.e ġham ke
ham magar mā.il-e-ādāb nahīñ ho paa.e
ek din tujh ko āchānak ye ḳhabar aa.egī
tere bīmār shifā-yāb nahīñ ho paa.e
mujh pe kyā aatā gul-e-surḳh kā mausam 'komal'
jab mire peḌ hī shādāb nahīñ ho paa.e
us ki aankhon ka koi KHwab nahin ho pae
hans the waqif-e-talab nahin ho pae
girya-e-gham ki hararat se pighalte hue ashk
sard lahjon se bhi barfab nahin ho pae
tum ne ji bhar ke mohabbat ki 'inayat ki thi
dasht phir dasht the sairab nahin ho pae
hijr ne taur tariqe to sikhae gham ke
hum magar mail-e-adab nahin ho pae
ek din tujh ko aachanak ye KHabar aaegi
tere bimar shifa-yab nahin ho pae
mujh pe kya aata gul-e-surKH ka mausam 'komal'
jab mere peD hi shadab nahin ho pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.