uski aankhon mein mohabbat ka sitara hoga
us kī āñkhoñ meñ mohabbat kā sitāra hogā
ek din aa.egā vo shaḳhs hamārā hogā
zindagī ab ke mirā naam na shāmil karnā
gar ye tai hai ki yahī khel dobāra hogā
jis ke hone se mirī saañs chalā kartī thī
kis tarah us ke baġhair apnā guzāra hogā
ishq karnā hai to din-rāt use sochnā hai
aur kuchh zehn meñ aayā to ḳhasāra hogā
kaun rotā hai yahāñ raat ke sannāToñ meñ
mere jaisā hī koī hijr kā maarā hogā
jo mirī ruuh meñ bādal se garajte haiñ 'vasī'
us ne siine meñ koī dard utārā hogā
kaam mushkil hai magar jiit hī lūñgā us ko
mere maulā kā 'vasī' jūñhī ishāra hogā
us ki aankhon mein mohabbat ka sitara hoga
ek din aaega wo shaKHs hamara hoga
zindagi ab ke mera nam na shamil karna
gar ye tai hai ki yahi khel dobara hoga
jis ke hone se meri sans chala karti thi
kis tarah us ke baghair apna guzara hoga
ishq karna hai to din-raat use sochna hai
aur kuchh zehn mein aaya to KHasara hoga
kaun rota hai yahan raat ke sannaTon mein
mere jaisa hi koi hijr ka mara hoga
jo meri ruh mein baadal se garajte hain 'wasi'
us ne sine mein koi dard utara hoga
kaam mushkil hai magar jit hi lunga us ko
mere maula ka 'wasi' junhi ishaara hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.