uski aankhon mein mohabbat ki chamak aaj bhi hai
us kī āñkhoñ meñ mohabbat kī chamak aaj bhī hai
us ko hālāñki mire pyaar pe shak aaj bhī hai
naav meñ baiTh ke dho.e the kabhī haath us ne
saare tālāb meñ mehñdī kī mahak aaj bhī hai
merī ik shirt meñ kal us ne baTan Tāñkā thā
shahr ke shor meñ chūḌī kī khanak aaj bhī hai
use kho kar bhī na khone kī ḳhushī ab na rahī
use pā kar bhī na paane kī kasak aaj bhī hai
zaḳhm sab suukh ga.e haiñ mire marham ke binā
mere ik dost kī muTThī meñ namak aaj bhī hai
us ki aankhon mein mohabbat ki chamak aaj bhi hai
us ko haalanki mere pyar pe shak aaj bhi hai
naw mein baiTh ke dhoe the kabhi hath us ne
sare talab mein mehndi ki mahak aaj bhi hai
meri ek shirt mein kal us ne baTan Tanka tha
shahr ke shor mein chuDi ki khanak aaj bhi hai
use kho kar bhi na khone ki KHushi ab na rahi
use pa kar bhi na pane ki kasak aaj bhi hai
zaKHm sab sukh gae hain mere marham ke bina
mere ek dost ki muTThi mein namak aaj bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.