uski diwar ka jo rauzan hai
us kī dīvār kā jo rauzan hai
ḳhur kā chashm-o-charāg raushan hai
lutf-e-mufrat se dost dushman hai
bārish-e-besh barq-e-ḳhirman hai
gosha-gīrī meñ hirs afzūñ ho
sub.h shabnam ko fikr-e-raftan hai
ishq meñ tere taar taar ai shoḳh
jeb ġhunche kī gul kā dāman hai
shauq meñ terī teġh kā yaksar
sham.a saañ tan tamām gardan hai
bahs kartā hai shaiḳh ka.abe se
jo tire dair kā barahman hai
surḳh mehñdī huī hai us kī siyāh
rañg-e-shādī meñ rañg-e-shevan hai
tum ne khole chaman meñ band-e-qabā
baal parvāz-e-rañg-e-gulshan hai
jo zamīn-e-suḳhan hai us meñ 'vaqār'
ek muddat se merā maskan hai
us ki diwar ka jo rauzan hai
KHur ka chashm-o-charag raushan hai
lutf-e-mufrat se dost dushman hai
barish-e-besh barq-e-KHirman hai
gosha-giri mein hirs afzun ho
subh shabnam ko fikr-e-raftan hai
ishq mein tere tar tar ai shoKH
jeb ghunche ki gul ka daman hai
shauq mein teri tegh ka yaksar
shama san tan tamam gardan hai
bahs karta hai shaiKH kabe se
jo tere dair ka barahman hai
surKH mehndi hui hai us ki siyah
rang-e-shadi mein rang-e-shewan hai
tum ne khole chaman mein band-e-qaba
baal parwaz-e-rang-e-gulshan hai
jo zamin-e-suKHan hai us mein 'waqar'
ek muddat se mera maskan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.