uski duzdida-nigahi dekhna achchha laga
us kī duzdīda-nigāhī dekhnā achchhā lagā
bhiiḌ meñ ik ajnabī kā sāmnā achchhā lagā
jis kī tasvīr-e-tasavvur zehn meñ mahfūz hai
jāda-e-ulfat meñ us ko DhūñDhnā achchhā lagā
gholnā kānoñ meñ ras shīrīnī-e-guftār se
rūh-parvar us kā hañsnā bolnā achchhā lagā
murta.ish hotā hai jis ko dekh kar tār-e-nafas
us kā zulf ḳham-ba-ḳham kā kholnā achchhā lagā
dil se dil ko raah hotī hai ye hai us kā subūt
jaate jaate us kā muḌ kar dekhnā achchhā lagā
vajd-āvar thā gul-o-bulbul kā rabt-e-bāhamī
ġhuncha-o-gul se chaman meñ khelnā achchhā lagā
hai jahān-e-rañg-o-bū meñ husn jis kā intiḳhāb
us kā honā bazm meñ jalva-numā achchhā lagā
mere siine meñ dhaḌaktā hai dil-e-dard-āshnā
is liye TuuTe hue dil joḌnā achchhā lagā
mun.akis har chiiz meñ hotā hai 'barqī' jis kā aks
us kā chehra ā.ina-dar-ā.ina achchhā lagā
us ki duzdida-nigahi dekhna achchha laga
bhiD mein ek ajnabi ka samna achchha laga
jis ki taswir-e-tasawwur zehn mein mahfuz hai
jada-e-ulfat mein us ko DhunDhna achchha laga
gholna kanon mein ras shirini-e-guftar se
ruh-parwar us ka hansna bolna achchha laga
murtaish hota hai jis ko dekh kar tar-e-nafas
us ka zulf KHam-ba-KHam ka kholna achchha laga
dil se dil ko rah hoti hai ye hai us ka subut
jate jate us ka muD kar dekhna achchha laga
wajd-awar tha gul-o-bulbul ka rabt-e-bahami
ghuncha-o-gul se chaman mein khelna achchha laga
hai jahan-e-rang-o-bu mein husn jis ka intiKHab
us ka hona bazm mein jalwa-numa achchha laga
mere sine mein dhaDakta hai dil-e-dard-ashna
is liye TuTe hue dil joDna achchha laga
munakis har chiz mein hota hai 'barqi' jis ka aks
us ka chehra aaina-dar-aina achchha laga
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.