uski KHatir rona hansna achchha lagta hai
us kī ḳhātir ronā hañsnā achchhā lagtā hai
jaise dhuup meñ bārish honā achchhā lagtā hai
ḳhvāb kī kachchī malmal meñ jab āñkheñ lipTī hoñ
yādeñ oḌh ke sote rahnā achchhā lagtā hai
sāñjh savere khulte haiñ jab tītriyoñ ke par
us manzar meñ manzar honā achchhā lagtā hai
bārish aa kar baras rahegī mausam aane par
phir bhī apnā dard chhupānā achchhā lagtā hai
bādal ḳhushbū aur jogī se āḳhir kaun kahe
mujhe tumhārā ānā-jānā achchhā lagtā hai
us ki KHatir rona hansna achchha lagta hai
jaise dhup mein barish hona achchha lagta hai
KHwab ki kachchi malmal mein jab aankhen lipTi hon
yaaden oDh ke sote rahna achchha lagta hai
sanjh sawere khulte hain jab titriyon ke par
us manzar mein manzar hona achchha lagta hai
barish aa kar baras rahegi mausam aane par
phir bhi apna dard chhupana achchha lagta hai
baadal KHushbu aur jogi se aaKHir kaun kahe
mujhe tumhaara aana-jaana achchha lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.