uski pahle se thi nazar shayad
us kī pahle se thī nazar shāyad
jis kī mujh ko ḳhabar na thī shāyad
gūñgā āñgan hai bahrī dīvāreñ
ye ḳharāba hai apnā ghar shāyad
chal ke kuchh duur ruk ga.e haiñ vo
na milā mujh sā ham-safar shāyad
hijr kī raat itnī lambī hai
jaise hogī na ab sahar shāyad
rañg terā uḌā uḌā sā hai
lag ga.ī hai tujhe nazar shāyad
us ki pahle se thi nazar shayad
jis ki mujh ko KHabar na thi shayad
gunga aangan hai bahri diwaren
ye KHaraba hai apna ghar shayad
chal ke kuchh dur ruk gae hain wo
na mila mujh sa ham-safar shayad
hijr ki raat itni lambi hai
jaise hogi na ab sahar shayad
rang tera uDa uDa sa hai
lag gai hai tujhe nazar shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.