uski qurbat mein hua hai ye KHasara mera
us kī qurbat meñ huā hai ye ḳhasārā merā
aap paḌh lījiye har aañkh meñ qissa merā
har na.ī saañs pe bantā huuñ bigaḌ jaatā huuñ
ye havā ḳhatm hī kar de na tamāsha merā
ab to hoñToñ pe kabhī phuul bhī khil jaate haiñ
aap ne in dinoñ dekhā nahīñ chehra merā
maiñ ne ro ro ke use ġhair kā hone na diyā
us balā-ḳhez ko zanjīr thā girya merā
ab na.e dasht mujhe dekh ke Dar jaate haiñ
merī vahshat ne baḌhā rakkhā hai rutba merā
us ki qurbat mein hua hai ye KHasara mera
aap paDh lijiye har aankh mein qissa mera
har nai sans pe banta hun bigaD jata hun
ye hawa KHatm hi kar de na tamasha mera
ab to honTon pe kabhi phul bhi khil jate hain
aap ne in dinon dekha nahin chehra mera
main ne ro ro ke use ghair ka hone na diya
us bala-KHez ko zanjir tha girya mera
ab nae dasht mujhe dekh ke Dar jate hain
meri wahshat ne baDha rakkha hai rutba mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.