uski tarif karna mushkil hai
us kī tārīf karnā mushkil hai
māh-e-kāmil to māh-e-kāmil hai
ġham pe bhī muskurāne vāloñ meñ
shukr hai merā naam shāmil hai
dil hamārā jo muztarib hai aaj
ye tumhāre ġhamoñ kā hāsil hai
us ke rone pe e.atibār ho kyā
āñsuoñ meñ fareb shāmil hai
haar maanī thī jis ne kal mujh se
aaj phir vo mire muqābil hai
āshnā.ī ḳhudā se kaise ho
aaj har shaḳhs ḳhud se ġhāfil hai
un ke aane se qabl hī 'muḳhtār'
qābil-e-dīd rang-e-mahfil hai
us ki tarif karna mushkil hai
mah-e-kaamil to mah-e-kaamil hai
gham pe bhi muskurane walon mein
shukr hai mera nam shamil hai
dil hamara jo muztarib hai aaj
ye tumhaare ghamon ka hasil hai
us ke rone pe eatibar ho kya
aansuon mein fareb shamil hai
haar mani thi jis ne kal mujh se
aaj phir wo mere muqabil hai
aashnai KHuda se kaise ho
aaj har shaKHs KHud se ghafil hai
un ke aane se qabl hi 'muKHtar'
qabil-e-did rang-e-mahfil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.