uski yaaden mahakti rahti hain
us kī yādeñ mahaktī rahtī haiñ
merī sāñseñ mahaktī rahtī haiñ
us ko dekhā thā ḳhvāb meñ ik din
ab bhī āñkheñ mahaktī rahtī haiñ
vo mire saath to nahīñ hai magar
us kī bāteñ mahaktī rahtī haiñ
us kī chāhat ke phuul khilte haiñ
dil kī shāḳheñ mahaktī rahtī haiñ
yuuñ dhaḌaktā hai koī siine meñ
merī rāteñ mahaktī rahtī haiñ
us ki yaaden mahakti rahti hain
meri sansen mahakti rahti hain
us ko dekha tha KHwab mein ek din
ab bhi aankhen mahakti rahti hain
wo mere sath to nahin hai magar
us ki baaten mahakti rahti hain
us ki chahat ke phul khilte hain
dil ki shaKHen mahakti rahti hain
yun dhaDakta hai koi sine mein
meri raaten mahakti rahti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.