uski yaadon se le ke manzuri
us kī yādoñ se le ke manzūrī
baad muddat ke niiñd kī puurī
vasl hai apnī zaat kī qurbat
hijr hai apne-āp se duurī
raushnī kar diyā jalā lekin
dhyān meñ rakh havā kī maḳhmūrī
zindagī naam rakh diyā us kā
naam rakhnā thā jis kā majbūrī
tum jo chāho na do koī ujrat
dil musalsal karegā mazdūrī
us ki yaadon se le ke manzuri
baad muddat ke nind ki puri
wasl hai apni zat ki qurbat
hijr hai apne-ap se duri
raushni kar diya jala lekin
dhyan mein rakh hawa ki maKHmuri
zindagi nam rakh diya us ka
nam rakhna tha jis ka majburi
tum jo chaho na do koi ujrat
dil musalsal karega mazduri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.