uski zulfon mein abhi phul lagana tha mujhe
us kī zulfoñ meñ abhī phuul lagānā thā mujhe
aur ruḳhsār pe ik chāñd banānā thā mujhe
us ne achchhā kiyā āġhāz-e-safar meñ chhoḌā
āḳhir ik roz use chhoḌ ke jaanā thā mujhe
dostoñ ne bhī uḌāyā hai mohabbat kā mazāq
dostoñ se bhī mohabbat ko chhupānā thā mujhe
apnī barbādī kā shikva bhī karūñ to kis se
āḳhir is dil ne bhī ye din to dikhānā thā mujhe
us ne jo dil se nikālā hai kidhar jā.ūñ 'ḳhalīl'
saarī duniyā meñ yahī ek Thikānā thā mujhe
us ki zulfon mein abhi phul lagana tha mujhe
aur ruKHsar pe ek chand banana tha mujhe
us ne achchha kiya aaghaz-e-safar mein chhoDa
aaKHir ek roz use chhoD ke jaana tha mujhe
doston ne bhi uDaya hai mohabbat ka mazaq
doston se bhi mohabbat ko chhupana tha mujhe
apni barbaadi ka shikwa bhi karun to kis se
aaKHir is dil ne bhi ye din to dikhana tha mujhe
us ne jo dil se nikala hai kidhar jaun 'KHalil'
sari duniya mein yahi ek Thikana tha mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.