usko ab ye KHabar karen kyunkar
us ko ab ye ḳhabar kareñ kyūñkar
zindagī ham basar kareñ kyūñkar
tū jafā par bhī to nahīñ qaa.em
ham vafā umr bhar kareñ kyūñkar
chal ga.e haiñ raqīb ke fiqre
merī bāteñ asar kareñ kyūñkar
paañv rakhtā hai ġhair bhī is par
sajda-e-sang-e-dar kareñ kyūñkar
chashm-e-sāqī ke ham haiñ matvāle
jām-e-mai par nazar kareñ kyūñkar
hai nazākat kā us kī ham ko ḳhayāl
nāla-e-bā-asar kareñ kyūñkar
nāla-e-shab kā kyā natīja huā
ham duā-e-sahar kareñ kyūñkar
shauq-e-pinhāñ ne ham ko maarā hai
ye ḳhabar mushtahar kareñ kyūñkar
ḳhauf hai vo na aag ho jaa.e
nāla-e-pur-sharar kareñ kyūñkar
sajda-e-naqsh-e-pā ravā lekin
us ko pāmāl sar kareñ kyūñkar
ham nahīñ bolte haiñ nāseh se
baat ko be-asar kareñ kyūñkar
kahīñ sharmā ke vo na phir jaa.eñ
ham nazar sū-e-dar kareñ kyūñkar
merā likkhā agar vo paḌh na sakā
shikva-e-nāma-bar kareñ kyūñkar
tere shikve bajā sahī 'bedil'
lekin us ko ḳhabar kareñ kyūñkar
us ko ab ye KHabar karen kyunkar
zindagi hum basar karen kyunkar
tu jafa par bhi to nahin qaem
hum wafa umr bhar karen kyunkar
chal gae hain raqib ke fiqre
meri baaten asar karen kyunkar
panw rakhta hai ghair bhi is par
sajda-e-sang-e-dar karen kyunkar
chashm-e-saqi ke hum hain matwale
jam-e-mai par nazar karen kyunkar
hai nazakat ka us ki hum ko KHayal
nala-e-ba-asar karen kyunkar
nala-e-shab ka kya natija hua
hum dua-e-sahar karen kyunkar
shauq-e-pinhan ne hum ko mara hai
ye KHabar mushtahar karen kyunkar
KHauf hai wo na aag ho jae
nala-e-pur-sharar karen kyunkar
sajda-e-naqsh-e-pa rawa lekin
us ko pamal sar karen kyunkar
hum nahin bolte hain naseh se
baat ko be-asar karen kyunkar
kahin sharma ke wo na phir jaen
hum nazar su-e-dar karen kyunkar
mera likkha agar wo paDh na saka
shikwa-e-nama-bar karen kyunkar
tere shikwe baja sahi 'bedil'
lekin us ko KHabar karen kyunkar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.