usko bhi humse mohabbat ho zaruri to nahin
us ko bhī ham se mohabbat ho zarūrī to nahīñ
ishq hī ishq kī qīmat ho zarūrī to nahīñ
ek din aap kī barham-nigahī dekh chuke
roz ik taaza qayāmat ho zarūrī to nahīñ
merī sham.oñ ko havāoñ ne bujhāyā hogā
ye bhī un kī hī sharārat ho zarūrī to nahīñ
ahl-e-duniyā se marāsim bhī baratne hoñge
har nafas sirf ibādat ho zarūrī to nahīñ
dostī aap se lāzim hai magar is ke liye
saarī duniyā se adāvat ho zarūrī to nahīñ
pursish-e-hāl ko tum aaoge us vaqt mujhe
lab hilāne kī bhī tāqat ho zarūrī to nahīñ
saikḌoñ dar haiñ zamāne meñ gadā.ī ke liye
aap hī kā dar-e-daulat ho zarūrī to nahīñ
bāhamī rabt meñ ranjish bhī mazā detī hai
bas mohabbat hī mohabbat ho zarūrī to nahīñ
zulm ke daur se ikrāh-e-dilī kaafī hai
ek ḳhūñ-rez baġhāvat ho zarūrī to nahīñ
ek misra bhī jo zinda rahe kaafī hai 'sabā'
mere har sher kī shohrat ho zarūrī to nahīñ
us ko bhi hum se mohabbat ho zaruri to nahin
ishq hi ishq ki qimat ho zaruri to nahin
ek din aap ki barham-nigahi dekh chuke
roz ek taza qayamat ho zaruri to nahin
meri shamon ko hawaon ne bujhaya hoga
ye bhi un ki hi shararat ho zaruri to nahin
ahl-e-duniya se marasim bhi baratne honge
har nafas sirf ibaadat ho zaruri to nahin
dosti aap se lazim hai magar is ke liye
sari duniya se adawat ho zaruri to nahin
pursish-e-haal ko tum aaoge us waqt mujhe
lab hilane ki bhi taqat ho zaruri to nahin
saikDon dar hain zamane mein gadai ke liye
aap hi ka dar-e-daulat ho zaruri to nahin
bahami rabt mein ranjish bhi maza deti hai
bas mohabbat hi mohabbat ho zaruri to nahin
zulm ke daur se ikrah-e-dili kafi hai
ek KHun-rez baghawat ho zaruri to nahin
ek misra bhi jo zinda rahe kafi hai 'saba'
mere har sher ki shohrat ho zaruri to nahin
- Book : Mere Hisse Ki Roshni (Pg. 215)
- Author : Saba Akbarabadi
- Publication : Educational Publishing House (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.