usko bhule bina koi chaara nahin wo hamara nahin
us ko bhūle binā koī chāra nahīñ vo hamārā nahīñ
ishq ik baar hai ye dobāra nahīñ vo hamārā nahīñ
koī phūloñ se ḳhushbū ko aa ke chune koī gajre bune
ye mohabbat hai is meñ ḳhasāra nahīñ vo hamārā nahīñ
niiñd āñkhoñ hī āñkhoñ meñ kaTtī ga.ī pau bhī phaTtī ga.ī
yaad karte rahe par pukārā nahīñ vo hamārā nahīñ
koī shikva nahīñ āshnā.ī nahīñ jag-hañsā.ī nahīñ
bas hameñ us se milnā gavārā nahīñ vo hamārā nahīñ
ham to kahte haiñ vo bhī jale aag meñ dard ke raag meñ
koī tashbīh na isti.āra nahīñ vo hamārā nahīñ
ishq nāshād hai ishq barbād hai ishq fariyād hai
is samundar kā koī kināra nahīñ vo hamārā nahīñ
chāñd sūraj sitāre vahī āsmāñ kuchh nahīñ darmiyāñ
koī shikva shikāyat ishāra nahīñ vo hamārā nahīñ
biitī yādoñ ko dil se bhulānā paḌā lauT jaanā paḌā
apnā is shahr meñ ab guzāra nahīñ vo hamārā nahīñ
ye kahānī hamārī tumhārī bhī hai āh-o-zārī bhī hai
koī jiitā nahīñ koī haarā nahīñ vo hamārā nahīñ
us ko bhule bina koi chaara nahin wo hamara nahin
ishq ek bar hai ye dobara nahin wo hamara nahin
koi phulon se KHushbu ko aa ke chune koi gajre bune
ye mohabbat hai is mein KHasara nahin wo hamara nahin
nind aankhon hi aankhon mein kaTti gai pau bhi phaTti gai
yaad karte rahe par pukara nahin wo hamara nahin
koi shikwa nahin aashnai nahin jag-hansai nahin
bas hamein us se milna gawara nahin wo hamara nahin
hum to kahte hain wo bhi jale aag mein dard ke rag mein
koi tashbih na istiara nahin wo hamara nahin
ishq nashad hai ishq barbaad hai ishq fariyaad hai
is samundar ka koi kinara nahin wo hamara nahin
chand suraj sitare wahi aasman kuchh nahin darmiyan
koi shikwa shikayat ishaara nahin wo hamara nahin
biti yaadon ko dil se bhulana paDa lauT jaana paDa
apna is shahr mein ab guzara nahin wo hamara nahin
ye kahani hamari tumhaari bhi hai aah-o-zari bhi hai
koi jita nahin koi haara nahin wo hamara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.