usko hamari zat se inkar bhi nahin
us ko hamārī zaat se inkār bhī nahīñ
lekin vo e'tirāf ko tayyār bhī nahīñ
roġhan charāġh-e-chashm meñ jitnā thā jal chukā
aur shahr-e-jāñ meñ sub.h ke āsār bhī nahīñ
be-kār DhūñDhte ho samā.at meñ ḳhāmiyāñ
pahlī sī ghuñgrūoñ meñ vo jhankār bhī nahīñ
do-chār pal qayām kā kuchh to javāz ho
kūche meñ us ke sāya-e-dīvār bhī nahīñ
tujh ko suḳhan-shanās ba-har-hāl chāhiye
'shādāb' terā koī taraf-dār bhī nahīñ
us ko hamari zat se inkar bhi nahin
lekin wo e'tiraf ko tayyar bhi nahin
roghan charagh-e-chashm mein jitna tha jal chuka
aur shahr-e-jaan mein subh ke aasar bhi nahin
be-kar DhunDhte ho samaat mein KHamiyan
pahli si ghungruon mein wo jhankar bhi nahin
do-chaar pal qayam ka kuchh to jawaz ho
kuche mein us ke saya-e-diwar bhi nahin
tujh ko suKHan-shanas ba-har-haal chahiye
'shadab' tera koi taraf-dar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.