usko jaane de agar jata hai
us ko jaane de agar jaatā hai
zahr kam ho to utar jaatā hai
peḌ dīmak kī pazīrā.ī meñ
dekhte dekhte mar jaatā hai
ek lamhe kā safar hai duniyā
aur phir vaqt Thahar jaatā hai
chand ḳhushiyoñ ko baham karne meñ
aadmī kitnā bikhar jaatā hai
us ko jaane de agar jata hai
zahr kam ho to utar jata hai
peD dimak ki pazirai mein
dekhte dekhte mar jata hai
ek lamhe ka safar hai duniya
aur phir waqt Thahar jata hai
chand KHushiyon ko baham karne mein
aadmi kitna bikhar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.