usko jab yaad nahin baiTh ke ro lete hain
us ko jab yaad nahīñ baiTh ke ro lete haiñ
aa shab-e-hijr kahīñ baiTh ke ro lete haiñ
hijr kī lambī masāfat se abhī lauTe ho
paañv shal haiñ to yahīñ baiTh ke ro lete haiñ
phir se jī uThtā huuñ jab merī azā-dārī ko
āsmāñ aur zamīñ baiTh ke ro lete haiñ
thaam kar mujh se kahā fāqa-zada hāthoñ ne
ghar meñ bachche haiñ yahīñ baiTh ke ro lete haiñ
jhoñpḌī apne liye taḳht-e-sulaimānī hai
dard haiñ taḳht-nashīñ baiTh ke ro lete haiñ
har jagah rone ke ādāb 'nasīr' apne haiñ
gaañv hai shahr nahīñ baiTh ke ro lete haiñ
us ko jab yaad nahin baiTh ke ro lete hain
aa shab-e-hijr kahin baiTh ke ro lete hain
hijr ki lambi masafat se abhi lauTe ho
panw shal hain to yahin baiTh ke ro lete hain
phir se ji uThta hun jab meri aza-dari ko
aasman aur zamin baiTh ke ro lete hain
tham kar mujh se kaha faqa-zada hathon ne
ghar mein bachche hain yahin baiTh ke ro lete hain
jhonpDi apne liye taKHt-e-sulaimani hai
dard hain taKHt-nashin baiTh ke ro lete hain
har jagah rone ke aadab 'nasir' apne hain
ganw hai shahr nahin baiTh ke ro lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.