usko jitna bhula raha hun main
us ko jitnā bhulā rahā huuñ maiñ
utnā nazdīk pā rahā huuñ maiñ
sañg to aaj huuñ maiñ us ke liye
muddatoñ aa.ina rahā huuñ maiñ
jo uThāte nahīñ hai phone talak
un ke naḳhre uThā rahā huuñ maiñ
mujh ko qur.āñ paḌhā rahe haiñ vo
un ko giitā paḌhā rahā huuñ maiñ
aur kuchh der mujh se bāteñ kar
terī bātoñ meñ aa rahā huuñ maiñ
jaane kis kī talāsh meñ 'ujjval'
muddatoñ lāpata rahā huuñ maiñ
us ko jitna bhula raha hun main
utna nazdik pa raha hun main
sang to aaj hun main us ke liye
muddaton aaina raha hun main
jo uThate nahin hai phone talak
un ke naKHre uTha raha hun main
mujh ko quran paDha rahe hain wo
un ko gita paDha raha hun main
aur kuchh der mujh se baaten kar
teri baaton mein aa raha hun main
jaane kis ki talash mein 'ujjwal'
muddaton lapata raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.