usko KHalwat ka meri pas nahin
us ko ḳhalvat kā merī paas nahīñ
kaise kah duuñ ki jī udaas nahīñ
nā-shanāsā koī agar ho bhī
mere nāloñ se nā-shanās nahīñ
kyā huā ġham ke pāsdāroñ ko
kis liye mahv-e-huzn-o-yās nahīñ
chāhtā huuñ jise qarīb apne
ik vahī shaḳhs mere paas nahīñ
barsar-e-bazm hai vo jalva-numā
haif us ko hayā kā paas nahīñ
ḳhuun ko ḳhuun jo nahīñ kahte
aise logoñ se koī aas nahīñ
gāliyāñ bhī nahīñ qubūl unheñ
aur 'izzat bhī un ko raas nahīñ
sāqiyā jaam usī ko detā hai
qatra bhar kī bhī jis ko pyaas nahīñ
kaun ham sā malūl hai jag meñ
juz malāl apnī kuchh asaas nahīñ
baa'd 'sā.in' ke itnā yaad rahe
koī 'āshiq kā ġham-shanās nahīñ
us ko KHalwat ka meri pas nahin
kaise kah dun ki ji udas nahin
na-shanasa koi agar ho bhi
mere nalon se na-shanas nahin
kya hua gham ke pasdaron ko
kis liye mahw-e-huzn-o-yas nahin
chahta hun jise qarib apne
ek wahi shaKHs mere pas nahin
barsar-e-bazm hai wo jalwa-numa
haif us ko haya ka pas nahin
KHun ko KHun jo nahin kahte
aise logon se koi aas nahin
galiyan bhi nahin qubul unhen
aur 'izzat bhi un ko ras nahin
saqiya jam usi ko deta hai
qatra bhar ki bhi jis ko pyas nahin
kaun hum sa malul hai jag mein
juz malal apni kuchh asas nahin
ba'd 'sain' ke itna yaad rahe
koi 'ashiq ka gham-shanas nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.