usko kho dene ka ehsas to kam baqi hai
us ko kho dene kā ehsās to kam baaqī hai
jo huā vo na huā hotā ye ġham baaqī hai
ab na vo chhat hai na vo ziina na añgūr kī bel
sirf ik us ko bhulāne kī qasam baaqī hai
maiñ ne pūchhā thā sabab peḌ ke gir jaane kā
uTh ke maalī ne kahā us kī qalam baaqī hai
jañg ke faisle maidāñ meñ kahāñ hote haiñ
jab talak hāfize baaqī haiñ alam baaqī hai
thak ke girtā hai hiran sirf shikārī ke liye
jism ghāyal hai magar āñkhoñ meñ ram baaqī hai
us ko kho dene ka ehsas to kam baqi hai
jo hua wo na hua hota ye gham baqi hai
ab na wo chhat hai na wo zina na angur ki bel
sirf ek us ko bhulane ki qasam baqi hai
main ne puchha tha sabab peD ke gir jaane ka
uTh ke mali ne kaha us ki qalam baqi hai
jang ke faisle maidan mein kahan hote hain
jab talak hafize baqi hain alam baqi hai
thak ke girta hai hiran sirf shikari ke liye
jism ghayal hai magar aankhon mein ram baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.