us ko kisī ke vāste be-tāb dekhte
ham bhī kabhī ye manzar-e-nāyāb dekhte
sāhil kī ret ne hameñ vāpas bulā liyā
varna zarūr halqa-e-girdāb dekhte
bārish kā lutf band makānoñ meñ kuchh nahīñ
bāhar nikalte ghar se to sailāb dekhte
aatī kisī ko raas shahādat 'husain' kī
duniyā meñ ham kisī ko to sairāb dekhte
rātoñ ko jāgne ke sivā aur kyā kiyā
āñkheñ agar milī thiiñ koī ḳhvāb dekhte
us ko kisi ke waste be-tab dekhte
hum bhi kabhi ye manzar-e-nayab dekhte
sahil ki ret ne hamein wapas bula liya
warna zarur halqa-e-girdab dekhte
barish ka lutf band makanon mein kuchh nahin
bahar nikalte ghar se to sailab dekhte
aati kisi ko ras shahadat 'husain' ki
duniya mein hum kisi ko to sairab dekhte
raaton ko jagne ke siwa aur kya kiya
aankhen agar mili thin koi KHwab dekhte
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 343)
- Author : shaharyar
- Publication : educational book house (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.