usko meri taDap ka guman tak nahin hua
us ko mirī taḌap kā gumāñ tak nahīñ huā
maiñ is tarah jalā ki dhuāñ tak nahīñ huā
ye chāhte the maut hī ham ko judā kare
afsos apnā saath vahāñ tak nahīñ huā
tum ne to apne dard ke qisse banā liye
ham se to apnā dard bayāñ tak nahīñ huā
hairat hai vo bhī shahr basāne kī zid meñ hai
ta.amīr jis se apnā makāñ tak nahīñ huā
tasvīr terī lafzoñ se ban saktī thī magar
ham se hī terā zikr yahāñ tak nahīñ huā
us ko meri taDap ka guman tak nahin hua
main is tarah jala ki dhuan tak nahin hua
ye chahte the maut hi hum ko juda kare
afsos apna sath wahan tak nahin hua
tum ne to apne dard ke qisse bana liye
hum se to apna dard bayan tak nahin hua
hairat hai wo bhi shahr basane ki zid mein hai
tamir jis se apna makan tak nahin hua
taswir teri lafzon se ban sakti thi magar
hum se hi tera zikr yahan tak nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.