Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us mein rah kar uske bahar jhankna achchha nahin

Navin C. Chaturvedi

us mein rah kar uske bahar jhankna achchha nahin

Navin C. Chaturvedi

MORE BYNavin C. Chaturvedi

    us meñ rah kar us ke bāhar jhāñknā achchhā nahīñ

    dil-nashīñ ke dil ko kamtar āñknā achchhā nahīñ

    jis āñkhoñ meñ hamesha bas hamāre ḳhvāb hoñ

    us palkoñ par udāsī Tāñknā achchhā nahīñ

    us ḳhāmoshī ko bhī sunñā samajhnā chāhiye

    har ghaḌī bas apnī apnī hāñknā achchhā nahīñ

    ek din dil ne kahā Dhāñk le apne gunāh

    ham ne sochā ā.inoñ ko Dhañknā achchhā nahīñ

    pyaar to amrit hai us ke ras ras liije 'navīn'

    bed buuTī samajh kar phāñknā achchhā nahīñ

    us mein rah kar us ke bahar jhankna achchha nahin

    dil-nashin ke dil ko kamtar aankna achchha nahin

    jis ki aankhon mein hamesha bas hamare KHwab hon

    us ki palkon par udasi Tankna achchha nahin

    us ki KHamoshi ko bhi sunna samajhna chahiye

    har ghaDi bas apni apni hankna achchha nahin

    ek din dil ne kaha ja Dhank le apne gunah

    hum ne socha aainon ko Dhankna achchha nahin

    pyar to amrit hai us ke ras ka ras lije 'nawin'

    bed ki buTi samajh kar phankna achchha nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now