Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usne aahista se jab pukara mujhe

Amjad Islam Amjad

usne aahista se jab pukara mujhe

Amjad Islam Amjad

MORE BYAmjad Islam Amjad

    us ne āhista se jab pukārā mujhe

    jhuk ke takne lagā har sitārā mujhe

    terā ġham is fishār-e-shab-o-roz meñ

    hone detā nahīñ be-sahārā mujhe

    har sitāre bujhtī huī raushnī

    mere hone hai isti.ārā mujhe

    ai ḳhudā koī aisā bhī hai mo'jiza

    jo ki mujh par kare āshkārā mujhe

    koī sūraj nahīñ koī taarā nahīñ

    ne kis jhuTpuTe meñ utārā mujhe

    aks-e-imroz meñ naqsh-e-dīroz meñ

    ik ishārā tujhe ik ishārā mujhe

    haiñ azal abad TūTte aa.ine

    āgahī ne kahāñ ke maarā mujhe

    us ne aahista se jab pukara mujhe

    jhuk ke takne laga har sitara mujhe

    tera gham is fishaar-e-shab-o-roz mein

    hone deta nahin be-sahaara mujhe

    har sitare ki bujhti hui raushni

    mere hone ka hai istiara mujhe

    ai KHuda koi aisa bhi hai mo'jiza

    jo ki mujh par kare aashkara mujhe

    koi suraj nahin koi tara nahin

    tu ne kis jhuTpuTe mein utara mujhe

    aks-e-imroz mein naqsh-e-diroz mein

    ek ishaara tujhe ek ishaara mujhe

    hain azal ta abad TuTte aaine

    aagahi ne kahan la ke mara mujhe

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    usne aahista se jab pukara mujhe Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now