usne bola yar chhupa kar rakhna tum
us ne bolā yaar chhupā kar rakhnā tum
ham donoñ kā pyaar chhupā kar rakhnā tum
jo merī sūrat se milte-julte hoñ
vo saare ash.ār chhupā kar rakhnā tum
sīdhe haañ mat karnā maiñ mar jā.ūñgā
thoḌā ye iqrār chhupā kar rakhnā tum
mushkil se aatā hai aur uḌ jaatā hai
is hafte itvār chhupā kar rakhnā tum
bachcha hai vo aur bachche zid karte haiñ
bachche se bāzār chhupā kar rakhnā tum
do din ko vo milne aayā hai tum se
do din ye āzār chhupā kar rakhnā tum
kal merī ye ġhazal chhape to paḌh lenā
aur phir vo aḳhbār chhupā kar rakhnā tum
us ne bola yar chhupa kar rakhna tum
hum donon ka pyar chhupa kar rakhna tum
jo meri surat se milte-julte hon
wo sare ashaar chhupa kar rakhna tum
sidhe han mat karna main mar jaunga
thoDa ye iqrar chhupa kar rakhna tum
mushkil se aata hai aur uD jata hai
is hafte itwar chhupa kar rakhna tum
bachcha hai wo aur bachche zid karte hain
bachche se bazar chhupa kar rakhna tum
do din ko wo milne aaya hai tum se
do din ye aazar chhupa kar rakhna tum
kal meri ye ghazal chhape to paDh lena
aur phir wo aKHbar chhupa kar rakhna tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.