usne hamare hath mein ek hath kya diya
us ne hamāre haath meñ ik haath kyā diyā
kuchh der to hathelī pe jaltā rahā diyā
maiñ us ke intizār meñ khoī kuchh is tarah
āñkheñ huiiñ charāġh to ghar thā diyā diyā
āñgan meñ jaise ek charāġhāñ sā ho gayā
aisā kahāñ se laa.ī thī shab ko havā diyā
dil kī tamām raunaqeñ us ke hī dam se thiiñ
Duubā jo chāñd ham ne diyā hī bujhā diyā
ham chāhte the māh-e-daraḳhshāñ ko dekhnā
us ne hameñ darīche se chehra dikhā diyā
vo mudda.ā-shanās thā merā kuchh is tarah
kuchh sochne se pahle hī ye kah diyā, diyā
us ne hamare hath mein ek hath kya diya
kuchh der to hatheli pe jalta raha diya
main us ke intizar mein khoi kuchh is tarah
aankhen huin charagh to ghar tha diya diya
aangan mein jaise ek charaghan sa ho gaya
aisa kahan se lai thi shab ko hawa diya
dil ki tamam raunaqen us ke hi dam se thin
Duba jo chand hum ne diya hi bujha diya
hum chahte the mah-e-daraKHshan ko dekhna
us ne hamein dariche se chehra dikha diya
wo muddaa-shanas tha mera kuchh is tarah
kuchh sochne se pahle hi ye kah diya, diya
- Book : Pakistani Adab (Pg. 602)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.