usne jate hue kaha badla
us ne jaate hue kahā badla
ḳhud se lūñgā maiñ ab tirā badla
saḳht sardī meñ chaa.e order kī
ham ne mausam se le liyā badla
is dupaTTe ko chhū ke va.ada kar
jo bhī badlā vo pā.egā badla
maiñ tire naam kar to duuñ lekin
dil blochan kā chāhegā badla
ek shā.ir se bad-tamīzī kā
ham ne sheroñ meñ le liyā badla
ye mirī tarbiyat nahīñ varna
maiñ batātī tumheñ hai kyā badla
maiñ to chup huuñ magar mire dushman
tum se legā mirā ḳhudā badla
terī dastār bhī hai dāman bhī
maiñ ne phir bhī nahīñ liyā badla
maiñ tirī bebasī se vāqif huuñ
mujh pe jaa.ez nahīñ rahā badla
ishq aur hijr kī musībat se
maiñ ne lenā thā aur liyā badla
haañ ye sach hai badal ga.ī 'īmāñ'
kyūñki tum se thā ab ravā badla
us ne jate hue kaha badla
KHud se lunga main ab tera badla
saKHt sardi mein chae order ki
hum ne mausam se le liya badla
is dupaTTe ko chhu ke wada kar
jo bhi badla wo paega badla
main tere nam kar to dun lekin
dil blochan ka chahega badla
ek shair se bad-tamizi ka
hum ne sheron mein le liya badla
ye meri tarbiyat nahin warna
main batati tumhein hai kya badla
main to chup hun magar mere dushman
tum se lega mera KHuda badla
teri dastar bhi hai daman bhi
main ne phir bhi nahin liya badla
main teri bebasi se waqif hun
mujh pe jaez nahin raha badla
ishq aur hijr ki musibat se
main ne lena tha aur liya badla
han ye sach hai badal gai 'iman'
kyunki tum se tha ab rawa badla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.