usne jab hans ke namaskar kiya
us ne jab hañs ke namaskār kiyā
mujh ko insān se autār kiyā
dasht-e-ġhurbat meñ dil-e-vīrāñ ne
yaad jamunā ko ka.ī baar kiyā
pyaar kī baat na pūchho yaaro
ham ne kis kis se nahīñ pyaar kiyā
kitnī ḳhvābīda tamannāoñ ko
us kī āvāz ne bedār kiyā
ham pujārī haiñ butoñ ke 'jālib'
ham ne ka.abe meñ bhī iqrār kiyā
us ne jab hans ke namaskar kiya
mujh ko insan se autar kiya
dasht-e-ghurbat mein dil-e-viran ne
yaad jamuna ko kai bar kiya
pyar ki baat na puchho yaro
hum ne kis kis se nahin pyar kiya
kitni KHwabida tamannaon ko
us ki aawaz ne bedar kiya
hum pujari hain buton ke 'jalib'
hum ne kabe mein bhi iqrar kiya
- Book : Kulliyat-e-Habib Jalib (Pg. 57)
- Author : Habib Jalib
- Publication : Tahir Sons Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.