usne jab KHusraw-e-parwez ki dhamki di hai
us ne jab ḳhusrav-e-parvez kī dhamkī dī hai
maiñ ne bhī ishq-e-balā-ḳhez kī dhamkī dī hai
maiñ jo rakhtā huuñ use dekh ke bhī hosh bahāl
us kī āñkhoñ ne mai-e-tez kī dhamkī dī hai
vo jo dil dene se inkār kiyā kartā hai
maiñ ne ik lams-e-dil-āvez kī dhamkī dī hai
paḌ ga.ī lazzat-e-āzār kī aadat jo mujhe
tund-ḳhū ne kaf-e-gul-rez kī dhamkī dī hai
maiñ ne jab jab bhī kiyā us se mazālim kā gila
us ne kuchh aur bhī mahmez kī dhamkī dī hai
us ne jab KHusraw-e-parwez ki dhamki di hai
main ne bhi ishq-e-bala-KHez ki dhamki di hai
main jo rakhta hun use dekh ke bhi hosh bahaal
us ki aankhon ne mai-e-tez ki dhamki di hai
wo jo dil dene se inkar kiya karta hai
main ne ek lams-e-dil-awez ki dhamki di hai
paD gai lazzat-e-azar ki aadat jo mujhe
tund-KHu ne kaf-e-gul-rez ki dhamki di hai
main ne jab jab bhi kiya us se mazalim ka gila
us ne kuchh aur bhi mahmez ki dhamki di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.