Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usne jo gham kiye hawale the

Ameen Adirai

usne jo gham kiye hawale the

Ameen Adirai

MORE BYAmeen Adirai

    us ne jo ġham kiye havāle the

    ham ne ik umr vo sambhāle the

    sehn-e-dil meñ tumhāre sab va.ade

    maiñ ne bachchoñ tarah paale the

    aañkh se ḳhud-ba-ḳhud nikal aa.e

    ashk ham ne kahāñ nikāle the

    ik ḳhushī aise muskurā.ī thī

    dard jaise bichhaḌne vaale the

    apne hāthoñ se jo banā.e but

    ek din saare toḌ Daale the

    chār-sū vahshatoñ Derā thā

    jaan ke har kisī ko laale the

    ajnabī ban ke jo mile the 'amīn'

    log sab mere dekhe-bhāle the

    us ne jo gham kiye hawale the

    hum ne ek umr wo sambhaale the

    sehn-e-dil mein tumhaare sab wade

    main ne bachchon ki tarah pale the

    aankh se KHud-ba-KHud nikal aae

    ashk hum ne kahan nikale the

    ek KHushi aise muskurai thi

    dard jaise bichhaDne wale the

    apne hathon se jo banae but

    ek din sare toD Dale the

    chaar-su wahshaton ka Dera tha

    jaan ke har kisi ko lale the

    ajnabi ban ke jo mile the 'amin'

    log sab mere dekhe-bhaale the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now