usne kiya hai wada-e-farda aane do usko aae to
us ne kiyā hai vāda-e-fardā aane do us ko aa.e to
naam badal denā phir merā lauT ke vāpas jaa.e to
arz-e-tamannā kareñge us se agar na vo Thukrā.e to
us se zarūr mileñge jā kar pahle hameñ bulā.e to
izzat-e-nafs kā hai ye taqāzā husn-e-sulūk kareñ donoñ
us ko ham labbaik kaheñge rasm-e-vafā nibhā.e to
saf.ha-e-zehn pe naqsh hai us kā mere abhī tak nāz-o-niyāz
jaise sharmātā thā pahle vaise hī sharmā.e to
rūThne aur manāne ke ehsās meñ hai ik kaif-o-surūr
maiñ ne hamesha use manāyā vo bhī mujhe manā.e to
kyuuñ rahtā hai mujh se bad-zan hai jo mirā manzūr-e-nazar
kuchh nahīñ aatā merī samajh meñ koī mujhe samjhā.e to
ḳhūn-e-jigar se sīñchūñgā gulzār-e-tamannā us ke liye
bāġh-e-hayāt meñ gul-e-mohabbat aa kar mire khilā.e to
fasl-e-ḳhizāñ meñ kyā hogā āsār numāyāñ haiñ jis ke
fasl-e-bahār meñ 'barqī' apne dil kī kalī murjhā.e to
us ne kiya hai wada-e-farda aane do us ko aae to
nam badal dena phir mera lauT ke wapas jae to
arz-e-tamanna karenge us se agar na wo Thukrae to
us se zarur milenge ja kar pahle hamein bulae to
izzat-e-nafs ka hai ye taqaza husn-e-suluk karen donon
us ko hum labbaik kahenge rasm-e-wafa nibhae to
safha-e-zehn pe naqsh hai us ka mere abhi tak naz-o-niyaz
jaise sharmata tha pahle waise hi sharmae to
ruThne aur manane ke ehsas mein hai ek kaif-o-surur
main ne hamesha use manaya wo bhi mujhe manae to
kyun rahta hai mujh se bad-zan hai jo mera manzur-e-nazar
kuchh nahin aata meri samajh mein koi mujhe samjhae to
KHun-e-jigar se sinchunga gulzar-e-tamanna us ke liye
bagh-e-hayat mein gul-e-mohabbat aa kar mere khilae to
fasl-e-KHizan mein kya hoga aasar numayan hain jis ke
fasl-e-bahaar mein 'barqi' apne dil ki kali murjhae to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.