usne manga jo dil diye hi bani
us ne māñgā jo dil diye hī banī
jo na karnā thā vo kiye hī banī
is adā se dil us ne pherā aaj
ki mujhe dauḌ kar liye hī banī
tere ham-rāh ġhair kyuuñ aayā
jis kī ḳhātir mujhe kiye hī banī
dekhā anjām ishq kā ai dil
jaan āḳhir hameñ diye hī banī
dast-e-nāzuk se us ne jaam diyā
aaj mujh ko 'sharaf' piye hī banī
us ne manga jo dil diye hi bani
jo na karna tha wo kiye hi bani
is ada se dil us ne phera aaj
ki mujhe dauD kar liye hi bani
tere ham-rah ghair kyun aaya
jis ki KHatir mujhe kiye hi bani
dekha anjam ishq ka ai dil
jaan aaKHir hamein diye hi bani
dast-e-nazuk se us ne jam diya
aaj mujh ko 'sharaf' piye hi bani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.