Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usne mazaq samjha mera dil dukha gaya

Jayant Parmar

usne mazaq samjha mera dil dukha gaya

Jayant Parmar

MORE BYJayant Parmar

    us ne mazāq samjhā mirā dil dukhā gayā

    phir mom-battiyoñ ko hamesha bujhā gayā

    niklā thā ḳhud ko DhūñDne us regzār meñ

    māyūs ho ke rāsta vāpas chalā gayā

    ik ik galī meñ DhūñD rahī thī havā mujhe

    lahroñ ke saath saath mirā naqsh-e-pā gayā

    bistar pe leTe leTe mirī aañkh lag ga.ī

    ye kaun mere kamre battī bujhā gayā

    satā rahā thā lawn meñ sab kaam chhoḌ kar

    jhoñkā havā aayā aur hañs kar chalā gayā

    us ne mazaq samjha mera dil dukha gaya

    phir mom-battiyon ko hamesha bujha gaya

    nikla tha KHud ko DhunDne us regzar mein

    mayus ho ke rasta wapas chala gaya

    ek ek gali mein DhunD rahi thi hawa mujhe

    lahron ke sath sath mera naqsh-e-pa gaya

    bistar pe leTe leTe meri aankh lag gai

    ye kaun mere kamre ki batti bujha gaya

    sata raha tha lawn mein sab kaam chhoD kar

    jhonka hawa ka aaya aur hans kar chala gaya

    RECITATIONS

    Jayant Parmar

    Jayant Parmar,

    Jayant Parmar

    usne mazaq samjha mera dil dukha gaya Jayant Parmar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now