usne mujhse to kuchh kaha hi nahin
us ne mujh se to kuchh kahā hī nahīñ
merā ḳhud se to rābta hī nahīñ
qazā gar roz dast badle hai
mujh ko ījād to kiyā hī nahīñ
apne pīchhe maiñ chhup ke chaltā huuñ
merā saaya mujhe milā hī nahīñ
kitnī mushkil ke baa'd TuuTā hai
ik rishta kabhī jo thā hī nahīñ
baa'd marne ke ghar nasīb huā
zindagī ne to kuchh diyā hī nahīñ
be-vafā.ī tujhe mubārak ho
ham ne badlā kabhī liyā hī nahīñ
us ne mujh se to kuchh kaha hi nahin
mera KHud se to rabta hi nahin
qaza gar roz dast badle hai
mujh ko ijad to kiya hi nahin
apne pichhe main chhup ke chalta hun
mera saya mujhe mila hi nahin
kitni mushkil ke ba'd TuTa hai
ek rishta kabhi jo tha hi nahin
ba'd marne ke ghar nasib hua
zindagi ne to kuchh diya hi nahin
be-wafai tujhe mubarak ho
hum ne badla kabhi liya hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.