usne mujhe salam kiya lam ke baghair
us ne mujhe salām kiyā laam ke baġhair
ye badduā thī mujh ko mire naam ke baġhair
har roz maañ kā chehra meñ taktā huuñ pyaar se
har roz haj maiñ kartā huuñ ehrām ke baġhair
ik maiñ huuñ merī aañkh meñ aañsū haiñ sub.h sub.h
duniyā diye jalātī nahīñ shaam ke baġhair
saaqī ye terī mast-nigāhī kā faiz hai
piitā huuñ maiñ sharāb magar jaam ke baġhair
'gīlānī' aise dost kā be-dām huuñ ġhulām
mujh se jo milne aa.e kisī kaam ke baġhair
us ne mujhe salam kiya lam ke baghair
ye baddua thi mujh ko mere nam ke baghair
har roz man ka chehra mein takta hun pyar se
har roz haj main karta hun ehram ke baghair
ek main hun meri aankh mein aansu hain subh subh
duniya diye jalati nahin sham ke baghair
saqi ye teri mast-nigahi ka faiz hai
pita hun main sharab magar jam ke baghair
'gilani' aise dost ka be-dam hun ghulam
mujh se jo milne aae kisi kaam ke baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.