usne patthar mein KHud ko Dhaala tha
us ne patthar meñ ḳhud ko Dhālā thā
tab kahīñ mujh ko hañs ke Taalā thā
ham ne ḳhvāhish kī parvarish kī thī
saañp ik āstīñ meñ paalā thā
sochne vaale sochte hī rahe
ho gayā vo jo hone vaalā thā
zahr detā na vo to detā kaun
ham-nivāla thā ham-piyāla thā
zinda rahne kī tab milī thī chhūT
us ne jab ḳhud ko maar Daalā thā
pā.emāl-e-hujūm huuñ maiñ ne
rāsta ik nayā nikālā thā
us ne patthar mein KHud ko Dhaala tha
tab kahin mujh ko hans ke Tala tha
hum ne KHwahish ki parwarish ki thi
sanp ek aastin mein pala tha
sochne wale sochte hi rahe
ho gaya wo jo hone wala tha
zahr deta na wo to deta kaun
ham-niwala tha ham-piyala tha
zinda rahne ki tab mili thi chhuT
us ne jab KHud ko mar Dala tha
paemal-e-hujum hun main ne
rasta ek naya nikala tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.