usne talab kiya mera dil is ada ke sath
us ne talab kiyā mirā dil is adā ke saath
iqrār maiñ ne kar liyā lekin hayā ke saath
muñh-band jab kalī the to sehn-e-chaman meñ the
ḳhushbū bane to uḌ ga.e mauj-e-sabā ke saath
shādī ko ek maah na guzrā huī talāq
rang-e-vafā bhī uḌ gayā rang-e-hinā ke saath
gar zid yahī hai saath meñ chandū bhī jā.egī
picnic meñ maiñ na jā.ūñgī us be-hayā ke saath
in se laḌā.ī jhagḌe hoñ maiñ faisla karūñ
kal saut ghar pe aa.ī thī apnī buā ke saath
'sajnī' ko maiñ ne dekhā thā ik roz shaam ko
ban-Than ke phir rahī thī kisī āshnā ke saath
us ne talab kiya mera dil is ada ke sath
iqrar main ne kar liya lekin haya ke sath
munh-band jab kali the to sehn-e-chaman mein the
KHushbu bane to uD gae mauj-e-saba ke sath
shadi ko ek mah na guzra hui talaq
rang-e-wafa bhi uD gaya rang-e-hina ke sath
gar zid yahi hai sath mein chandu bhi jaegi
picnic mein main na jaungi us be-haya ke sath
in se laDai jhagDe hon main faisla karun
kal saut ghar pe aai thi apni bua ke sath
'sajni' ko main ne dekha tha ek roz sham ko
ban-Than ke phir rahi thi kisi aashna ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.