usne yun rasta diya mujhko
us ne yuuñ rāsta diyā mujh ko
rāste se haTā diyā mujh ko
duur karne ke vāste ḳhud se
ḳhud kā hī vāsta diyā mujh ko
maut hī kuchh sukūn de shāyad
zindagī ne thakā diyā mujh ko
jab mire bāl-o-par shikasta hue
tab qafas se uḌā diyā mujh ko
jis havā ne mujhe jalā.e rakhā
phir usī ne bujhā diyā mujh ko
us ne yun rasta diya mujh ko
raste se haTa diya mujh ko
dur karne ke waste KHud se
KHud ka hi wasta diya mujh ko
maut hi kuchh sukun de shayad
zindagi ne thaka diya mujh ko
jab mere baal-o-par shikasta hue
tab qafas se uDa diya mujh ko
jis hawa ne mujhe jalae rakha
phir usi ne bujha diya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.