us pe kuchh bhi asar nahin hota
us pe kuchh bhī asar nahīñ hotā
be-ḳhabar bā-ḳhabar nahīñ hotā
dil meñ kab jalva-gar nahīñ hotā
kab vo pesh-e-nazar nahīñ hotā
tujh se dil be-ḳhabar nahīñ hotā
nahīñ hotā magar nahīñ hotā
kyā kaThin manzil-e-mohabbat hai
ḳhizr bhī ham-safar nahīñ hotā
hāl-e-mahjūr pūchhte kyā ho
hosh do-do pahar nahīñ hotā
kyā kahūñ bad-gumāniyāñ dil kī
etibār-e-nazar nahīñ hotā
us pe rahmat ko naaz hotā hai
jis duā meñ asar nahīñ hotā
phir dobāra nazar nahīñ uThtī
ishq bār-e-digar nahīñ hotā
nūr-e-'kaukab' ne vo ziyā paa.ī
ki muqābil qamar nahīñ hotā
us pe kuchh bhi asar nahin hota
be-KHabar ba-KHabar nahin hota
dil mein kab jalwa-gar nahin hota
kab wo pesh-e-nazar nahin hota
tujh se dil be-KHabar nahin hota
nahin hota magar nahin hota
kya kaThin manzil-e-mohabbat hai
KHizr bhi ham-safar nahin hota
haal-e-mahjur puchhte kya ho
hosh do-do pahar nahin hota
kya kahun bad-gumaniyan dil ki
etibar-e-nazar nahin hota
us pe rahmat ko naz hota hai
jis dua mein asar nahin hota
phir dobara nazar nahin uThti
ishq bar-e-digar nahin hota
nur-e-'kaukab' ne wo ziya pai
ki muqabil qamar nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.