us se baDh kar to koi be-sar-o-saman na mila
us se baḌh kar to koī be-sar-o-sāmāñ na milā
dil milā jis ko magar dard-e-ġharībāñ na milā
ik zarā zauq-e-tajassus meñ baḌhāyā thā qadam
nik.hat-e-gul ko phir āġhosh-e-gulistāñ na milā
baat itnī sī hai ai vā.iz-e-aflāk-nashīñ
kyā milegā use yazdāñ jise insāñ na milā
un se ab tazkira-e-daulat-e-kaunain hai kyuuñ
jin ġharīboñ ko tirā gosha-e-dāmāñ na milā
ḳhūbī-e-daulat-o-dānish pe nazar hai sab kī
koī us daur meñ dil-dāda-e-insāñ na milā
us se baDh kar to koi be-sar-o-saman na mila
dil mila jis ko magar dard-e-ghariban na mila
ek zara zauq-e-tajassus mein baDhaya tha qadam
nikhat-e-gul ko phir aaghosh-e-gulistan na mila
baat itni si hai ai waiz-e-aflak-nashin
kya milega use yazdan jise insan na mila
un se ab tazkira-e-daulat-e-kaunain hai kyun
jin gharibon ko tera gosha-e-daman na mila
KHubi-e-daulat-o-danish pe nazar hai sab ki
koi us daur mein dil-dada-e-insan na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.